Sorkh Anchal Ki Dhanak
Sabz roshni main sorkh aanchal ki dhanak
Sard kamre main machalti garm sansoon ki mahek
Bazuoon k sakht halke main koi nazuk badan
Salwaten malbos par,aanchal bi kuch dhalka huwa
Garmi_e_rukhsaar se dahki hui thandi hawa
Narm zulfoon se mulaem ungliyoon ki chair chaar
Sorkh hontoon par shararat k kisi lamhye ka aks
Reshmi bahoon main chori ki kabhi madham khanak
Sharmageen lahjoon main dhere se kabhi chahat ki baat
Do diloon ki dharkanoon main gonjati thi ek sada
Kanpate hontoon pe thi ALLAH se sirf ek duaa
Kaash yeh lamhaye thare jaeen,thare jaeen zara
__._,_.___
.
__,_._,___